Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaz Ansari

  • Ghazal


zindagi ek saza lage hai mujhe


zindagī ik sazā lage hai mujhe
jab se tū bevafā lage hai mujhe

tujh meñ ḳhud ko talāsh kartā huuñ
tū mirā ā.īna lage hai mujhe

nāseh-e-kam-nigāh kā kirdār
ishq meñ ab burā lage hai mujhe

apnī āvāz se bhī Dartā huuñ
sāz-e-dil bhī sazā lage hai mujhe

intihā hai ye bad-nasībī kī
har duā bad-duā lage hai mujhe

āshiqī jurm to nahīñ 'ejāz'
kis liye phir ḳhatā lage hai mujhe

zindagi ek saza lage hai mujhe
jab se tu bewafa lage hai mujhe

tujh mein KHud ko talash karta hun
tu mera aaina lage hai mujhe

naseh-e-kam-nigah ka kirdar
ishq mein ab bura lage hai mujhe

apni aawaz se bhi Darta hun
saz-e-dil bhi saza lage hai mujhe

intiha hai ye bad-nasibi ki
har dua bad-dua lage hai mujhe

aashiqi jurm to nahin 'ejaz'
kis liye phir KHata lage hai mujhe


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+