Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imdad Hamdani

  • Ghazal


jo narm lahje mein baat karna sikha gaya hai


jo narm lahje meñ baat karnā sikhā gayā hai
vo shaḳhs 'imdād' mujh ko kundan banā gayā hai

mohabbatoñ ke nagar se aayā thā jo payāmī
girā ke dīvār nafratoñ kī chalā gayā hai

maiñ vo musāfir huuñ jis kā koī nahīñ Thikānā
ye nā-rasā.ī kā zaḳhm mujh ko rulā gayā hai

musālahat kā paḌhā hai jab se nisāb maiñ ne
salīqa duniyā meñ zinda rahne kā aa gayā hai

yahāñ ke karbal meñ koī tishna-dahan nahīñ hai
vo fauj nahr-e-furāt par kyuuñ biThā gayā hai

maiñ us musāfir ko yaad kar ke mutma.in huuñ
jo Dher saarī duā.eñ de ke chalā gayā hai

jo narm lahje mein baat karna sikha gaya hai
wo shaKHs 'imdad' mujh ko kundan bana gaya hai

mohabbaton ke nagar se aaya tha jo payami
gira ke diwar nafraton ki chala gaya hai

main wo musafir hun jis ka koi nahin Thikana
ye na-rasai ka zaKHm mujh ko rula gaya hai

musalahat ka paDha hai jab se nisab main ne
saliqa duniya mein zinda rahne ka aa gaya hai

yahan ke karbal mein koi tishna-dahan nahin hai
wo fauj nahr-e-furaat par kyun biTha gaya hai

main us musafir ko yaad kar ke mutmain hun
jo Dher sari duaen de ke chala gaya hai


Source: Book : auraq salnama magazines (Pg. 484) Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore ( 1967 ) Edition : 1967

Leave a comment

+