Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadiya ambar lodhi

  • Ghazal


ishq ki koi tafsir thi hi nahin


ishq kī koī tafsīr thī hī nahīñ
vāste mere taqdīr thī hī nahīñ

kis liye ho ke majbūr tum aa.e ho
beach donoñ ke zanjīr thī hī nahīñ

ālam-e-rañg-o-bū ko sajāyā gayā
is tamāshe meñ taqsīr thī hī nahīñ

tere darshan ko āñkheñ tarastī rahīñ
ḳhāna-e-dil meñ tasvīr thī hī nahīñ

us ko 'amabar' ghasīTā gayā thā yūñhī
rāñjhe ke vāste hiir thī hī nahīñ

ishq ki koi tafsir thi hi nahin
waste mere taqdir thi hi nahin

kis liye ho ke majbur tum aae ho
beach donon ke zanjir thi hi nahin

aalam-e-rang-o-bu ko sajaya gaya
is tamashe mein taqsir thi hi nahin

tere darshan ko aankhen tarasti rahin
KHana-e-dil mein taswir thi hi nahin

us ko 'amabar' ghasiTa gaya tha yunhi
ranjhe ke waste hir thi hi nahin


Leave a comment

+