ham ek Dhaltī huī dhuup ke ta.āqub meñ
haiñ tez-gām saa.e saa.e jaate haiñ
chaman meñ shiddat-e-dard-e-numūd se ġhunche
taḌap rahe haiñ magar muskurā.e jaate haiñ
maiñ vo ḳhizāñ kā barahana-badan shajar huuñ jise
libās-e-zaḳhm-e-bahārāñ pahnā.e jaate haiñ
shafaq kī jhiil meñ jab bhī hai Dūbtā sūraj
to paas dhuup hī jaatī na saa.e jaate haiñ
ye zindagī vo taḌaptī ġhazal hai 'kaif' jise
har ek sāz-e-havādis pe gaa.e jaate haiñ
hum ek Dhalti hui dhup ke taaqub mein
hain tez-gam sae sae jate hain
chaman mein shiddat-e-dard-e-numud se ghunche
taDap rahe hain magar muskurae jate hain
main wo KHizan ka barahana-badan shajar hun jise
libas-e-zaKHm-e-bahaaran pahnae jate hain
shafaq ki jhil mein jab bhi hai Dubta suraj
to pas dhup hi jati na sae jate hain
ye zindagi wo taDapti ghazal hai 'kaif' jise
har ek saz-e-hawadis pe gae jate hain
Leave a comment