hameñ ḳhabar hai ḳharāb hoñge
adhūre sapne azaab hoñge
jo kī mohabbat to sochnā kyā
savāl hoñge javāb hoñge
hai yaad mujh ko ki kah rahe the
hamesha dil kī kitāb hoñge
raheñge ban ke kasak sī dil meñ
jo jaagī āñkhoñ ke ḳhvāb hoñge
mohabbateñ miT sakī haiñ kis se
yahī sandese gulāb hoñge
usī sitamgar ke naam yaaro
mire sabhī intisāb hoñge
jinheñ sukūñ samjhā ham ne 'shākir'
ḳhabar na thī iztirāb hoñge
hamein KHabar hai KHarab honge
adhure sapne azab honge
jo ki mohabbat to sochna kya
sawal honge jawab honge
hai yaad mujh ko ki kah rahe the
hamesha dil ki kitab honge
rahenge ban ke kasak si dil mein
jo jagi aankhon ke KHwab honge
mohabbaten miT saki hain kis se
yahi sandese gulab honge
usi sitamgar ke nam yaro
mere sabhi intisab honge
jinhen sukun samjha hum ne 'shakir'
KHabar na thi iztirab honge
Leave a comment