Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Iqbal

  • Ghazal


KHush bahut phirte hain wo ghar mein tamasha kar ke


ḳhush bahut phirte haiñ vo ghar meñ tamāshā kar ke
kaam niklā to hai un kā mujhe rusvā kar ke

rok rakhnā thā abhī aur ye āvāz kā ras
bech lenā thā ye saudā zarā mahñgā kar ke

is taraf kaam hamārā to nahīñ hai koī
aa nikalte haiñ kisī shaam tumhārā kar ke

miT ga.ī hai koī muḌtī huī sī mauj-e-havā
chhup gayā hai koī taarā sā ishārā kar ke

farq itnā na sahī ishq o havas meñ lekin
maiñ to mar jā.ūñ tirā rañg bhī mailā kar ke

sāf-o-shaffāf thī paanī kī tarah nīyat dil
dekhne vāloñ ne dekhā ise gadlā kar ke

shauq se kījiye aur der na farmā.iyegā
kuchh agar aap ko mil jā.egā aisā kar ke

yuuñ bhī sajtī hai badan par ye mohabbat kyā kyā
kabhī pahnūñ isī malbūs ko ulTā kar ke

mujh se chhuḌvā.e mire saare usuul us ne 'zafar'
kitnā chālāk thā maarā mujhe tanhā kar ke

KHush bahut phirte hain wo ghar mein tamasha kar ke
kaam nikla to hai un ka mujhe ruswa kar ke

rok rakhna tha abhi aur ye aawaz ka ras
bech lena tha ye sauda zara mahnga kar ke

is taraf kaam hamara to nahin hai koi
aa nikalte hain kisi sham tumhaara kar ke

miT gai hai koi muDti hui si mauj-e-hawa
chhup gaya hai koi tara sa ishaara kar ke

farq itna na sahi ishq o hawas mein lekin
main to mar jaun tera rang bhi maila kar ke

saf-o-shaffaf thi pani ki tarah niyat dil
dekhne walon ne dekha ise gadla kar ke

shauq se kijiye aur der na farmaiyega
kuchh agar aap ko mil jaega aisa kar ke

yun bhi sajti hai badan par ye mohabbat kya kya
kabhi pahnun isi malbus ko ulTa kar ke

mujh se chhuDwae mere sare usul us ne 'zafar'
kitna chaalak tha mara mujhe tanha kar ke


Leave a comment

+