aaj achānak phir ye kaisī ḳhushbū phailī yādoñ kī
dil ko aadat chhūT chukī thī muddat se fariyādoñ kī
dīvānoñ kā bhes banā leñ yā sūrat shahzādoñ kī
duur se pahchānī jaatī hai shakl tire barbādoñ kī
shart-e-shīrīñ kyā puurī ho tesha-o-jur.at kuchh bhī nahīñ
ishq o havas ke moḌ pe yuuñ to bhiiḌ hai ik farhādoñ kī
ab bhī tire kūche meñ havā.eñ ḳhaak uḌātī phirtī haiñ
baaqī hai ye ek rivāyat ab bhī tire barbādoñ kī
koī tirī tasvīr banā kar lā na sakā ḳhūn-e-dil se
lagtī hai har roz numā.ish yuuñ to na.e bahzādoñ kī
aaj achanak phir ye kaisi KHushbu phaili yaadon ki
dil ko aadat chhuT chuki thi muddat se fariyaadon ki
diwanon ka bhes bana len ya surat shahzadon ki
dur se pahchani jati hai shakl tere barbaadon ki
shart-e-shirin kya puri ho tesha-o-jurat kuchh bhi nahin
ishq o hawas ke moD pe yun to bhiD hai ek farhadon ki
ab bhi tere kuche mein hawaen KHak uDati phirti hain
baqi hai ye ek riwayat ab bhi tere barbaadon ki
koi teri taswir bana kar la na saka KHun-e-dil se
lagti hai har roz numaish yun to nae bahzadon ki
Source: Book : Mujhe Koi Sham Udhar Do (Pg. 88) Author : Aitabar Sajid Publication : Ilm o Irfan Publishers Lahore (2007,2009) Edition : 2007,2009
Leave a comment