ham burā karte yā bhalā karte
soch kar koī faisla karte
tum ta.alluq kā paas to rakhte
ḳhush na karte hameñ ḳhafā karte
dosto kaash dukh ke lamhoñ meñ
tum davā karte ham duā karte
kar dī dushvār rahguzār-e-zīst
aur kyā kaam rahnumā karte
rakhte rishtoñ meñ yuuñ tavāzun ham
kuchh vafā karte kuchh jafā karte
sar uThāte qubūliyat ke ba.ad
sajda-e-shauq yuuñ adā karte
baat thī jab ki but-kade meñ 'obaid'
baiTh kar tum ḳhudā ḳhudā karte
hum bura karte ya bhala karte
soch kar koi faisla karte
tum talluq ka pas to rakhte
KHush na karte hamein KHafa karte
dosto kash dukh ke lamhon mein
tum dawa karte hum dua karte
kar di dushwar rahguzar-e-zist
aur kya kaam rahnuma karte
rakhte rishton mein yun tawazun hum
kuchh wafa karte kuchh jafa karte
sar uThate qubuliyat ke baad
sajda-e-shauq yun ada karte
baat thi jab ki but-kade mein 'obaid'
baiTh kar tum KHuda KHuda karte
Source: Book : Mahr-e-Do neem (Pg. 59) Author : iftikhaar aarif
Leave a comment