husn par jāñ-nisār kartā huuñ
sham.a-rūoñ ko pyaar kartā huuñ
aap ke ishq ne jo baḳhshe haiñ
un ġhamoñ kā shumār kartā huuñ
aah īmāñ-parast ho kar bhī
ek kāfir se pyaar kartā huuñ
mujh pe vo mashq-e-nāz karte haiñ
shukr-e-parvardigār kartā huuñ
dil ko har dam fareb detā huuñ
aap kā intizār kartā huuñ
go tirā ahd ahd-e-bātil hai
phir bhī maiñ e'tibār kartā huuñ
gul-ruḳhoñ kī adā adā pe 'naresh'
maiñ dil-o-jāñ nisār kartā huuñ
husn par jaan-nisar karta hun
shama-ruon ko pyar karta hun
aap ke ishq ne jo baKHshe hain
un ghamon ka shumar karta hun
aah iman-parast ho kar bhi
ek kafir se pyar karta hun
mujh pe wo mashq-e-naz karte hain
shukr-e-parwardigar karta hun
dil ko har dam fareb deta hun
aap ka intizar karta hun
go tera ahd ahd-e-baatil hai
phir bhi main e'tibar karta hun
gul-ruKHon ki ada ada pe 'naresh'
main dil-o-jaan nisar karta hun
Leave a comment