Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Charagh Barelvi

  • Ghazal


sach chhupati rahi hawa yani


sach chhupātī rahī havā ya.anī
dasht kā haal aur thā ya.anī

bandisheñ rūh-o-jism par ḳhush hoñ
qaid meñ bhī hai ik maza ya.anī

gar ḳhudā ban nahīñ hai kuchh bhī yahāñ
hai ḳhudā kā bhī ik ḳhudā ya.anī

loriyāñ subkiyāñ meñ badlī haiñ
koī sach-much meñ so gayā ya.anī

ishq kī ruuh kaañp uTThī hai
jism ne jism chhū liyā ya.anī

sach chhupati rahi hawa yani
dasht ka haal aur tha yani

bandishen ruh-o-jism par KHush hon
qaid mein bhi hai ek maza yani

gar KHuda ban nahin hai kuchh bhi yahan
hai KHuda ka bhi ek KHuda yani

loriyan subkiyan mein badli hain
koi sach-much mein so gaya yani

ishq ki ruh kanp uTThi hai
jism ne jism chhu liya yani


Leave a comment

+