Subscribe to our newsletter and get our newest updates

M. Usman Shakir

  • Ghazal


is dil ko agar tera sahaara nahin milta


is dil ko agar terā sahārā nahīñ miltā
qismat ko koī chāñd sitāra nahīñ miltā

gherā hai kisī ḳhauf ne is tarah se dil ko
miltā hai jo ik baar dobāra nahīñ miltā

kuchh tum bhī mohabbat meñ ho taqdīr ke qaa.el
kuchh mujh ko bhī chalne kā ishāra nahīñ miltā

yuuñ Duub gayā huuñ tirī āñkhoñ ke bhañvar meñ
ab mere safīne ko kināra nahīñ miltā

kirdār haiñ tabdīl kahānī to vahī hai
afsāne meñ ab naam hamārā nahīñ miltā

dīpak kī tarah shaam se ham jalne lage haiñ
is aag kā par koī sharāra nahīñ miltā

'shākir' tirī qismat meñ haiñ be-kār sadā.eñ
jis shaḳhs ko bhī tū ne pukārā nahīñ miltā

is dil ko agar tera sahaara nahin milta
qismat ko koi chand sitara nahin milta

ghera hai kisi KHauf ne is tarah se dil ko
milta hai jo ek bar dobara nahin milta

kuchh tum bhi mohabbat mein ho taqdir ke qael
kuchh mujh ko bhi chalne ka ishaara nahin milta

yun Dub gaya hun teri aankhon ke bhanwar mein
ab mere safine ko kinara nahin milta

kirdar hain tabdil kahani to wahi hai
afsane mein ab nam hamara nahin milta

dipak ki tarah sham se hum jalne lage hain
is aag ka par koi sharara nahin milta

'shakir' teri qismat mein hain be-kar sadaen
jis shaKHs ko bhi tu ne pukara nahin milta


Leave a comment

+