tumhārī yaad ke manzar purāne gher lete haiñ
na jaane DhūñDh kar kaise kahāñ se gher lete haiñ
jo ham ne un dinoñ bas yuuñ hī pokhar meñ uchhāle the
lagūñ jab Dūbne to vo hī tinke gher lete haiñ
maiñ aisī shohratoñ kī soch se bhī ḳhauf khātā huuñ
jidhar niklo udhar aḳhbār vaale gher lete haiñ
ḳhudā jaane ḳhudā ne kyuuñ mujhe itnā navāzā hai
maiñ jab bhī laḌkhaḌātā huuñ sahāre gher lete haiñ
ye tāqat aur ye shohrat samay kā pher hai pyāre
galī apnī ho to hāthī ko kutte gher lete haiñ
ye mere dost bhī kam-baḳht rone tak nahīñ dete
zarā sā aañkh kyā bhīgī kamīne gher lete haiñ
tumhaari yaad ke manzar purane gher lete hain
na jaane DhunDh kar kaise kahan se gher lete hain
jo hum ne un dinon bas yun hi pokhar mein uchhaale the
lagun jab Dubne to wo hi tinke gher lete hain
main aisi shohraton ki soch se bhi KHauf khata hun
jidhar niklo udhar aKHbar wale gher lete hain
KHuda jaane KHuda ne kyun mujhe itna nawaza hai
main jab bhi laDkhaData hun sahaare gher lete hain
ye taqat aur ye shohrat samay ka pher hai pyare
gali apni ho to hathi ko kutte gher lete hain
ye mere dost bhi kam-baKHt rone tak nahin dete
zara sa aankh kya bhigi kamine gher lete hain
Leave a comment