Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dinesh Kumar

  • Ghazal


wo qalandaron mein shumar hai


vo qalandaroñ meñ shumār hai
ġham-e-zīst se use pyaar hai

mire bāġh-e-dil ke nasīb meñ
faqat intizār-e-bahār hai

ġham-e-āshiqī se jo pūchhiye
ye jahāñ bhī ujḌā dayār hai

jise taaj kahtā hai ye jahāñ
vo haqīqatan to mazār hai

ye ajab nahīñ ki junūn-e-ishq
sar-e-dār thā sar-e-dār hai

maiñ jo haq-e-halāl kī rah pe huuñ
mujhe ḳhvāb meñ bhī qarār hai

mirī dhaḌkaneñ bhī haiñ bahr meñ
mujhe shā.irī kā ḳhumār hai

wo qalandaron mein shumar hai
gham-e-zist se use pyar hai

mere bagh-e-dil ke nasib mein
faqat intizar-e-bahaar hai

gham-e-ashiqi se jo puchhiye
ye jahan bhi ujDa dayar hai

jise taj kahta hai ye jahan
wo haqiqatan to mazar hai

ye ajab nahin ki junun-e-ishq
sar-e-dar tha sar-e-dar hai

main jo haq-e-halal ki rah pe hun
mujhe KHwab mein bhi qarar hai

meri dhaDkanen bhi hain bahr mein
mujhe shairi ka KHumar hai


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+