shām-e-ġham afsurda-o-hairāñ the ham
log samjhe be-sar-o-sāmāñ the ham
tez thī itnī zamāne kī havā
pairahan-dar-pairahan uryāñ the ham
ham se be-ma.anī gurez-o-iḳhtilāf
ham-nashīñ do roz ke mehmāñ the ham
aaj apnī shahriyat mashkūk hai
ek din is mulk ke sultāñ the ham
zindagī kyā hashr kā maidān thī
apnī apnī fikr meñ ġhaltāñ the ham
munkashif the ham pe asrār-e-jamāl
rāz-dār-e-jalva-e-jānāñ the ham
thī hamīñ se garmī-e-mahfil 'qadīr'
dāstān-e-zīst ke unvāñ the ham
sham-e-gham afsurda-o-hairan the hum
log samjhe be-sar-o-saman the hum
tez thi itni zamane ki hawa
pairahan-dar-pairahan uryan the hum
hum se be-mani gurez-o-iKHtilaf
ham-nashin do roz ke mehman the hum
aaj apni shahriyat mashkuk hai
ek din is mulk ke sultan the hum
zindagi kya hashr ka maidan thi
apni apni fikr mein ghaltan the hum
munkashif the hum pe asrar-e-jamal
raaz-dar-e-jalwa-e-jaanan the hum
thi hamin se garmi-e-mahfil 'qadir'
dastan-e-zist ke unwan the hum
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment