Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Gorakhpuri

  • Ghazal


rahe na ghar ke hue KHwar ye to hona tha


rahe na ghar ke hue ḳhvār ye to honā thā
tirī talāsh meñ ai yaar ye to honā thā

qatār jalte charāġhoñ kī bar-sar-e-dīvār
siyāhiyāñ pas-e-dīvār ye to honā thā

zamīn bāñTne vāloñ ke ham muḳhālif the
hamīñ pe aa girī talvār ye to honā thā

guzar ke ik rah-e-pur-ḳhār se yahāñ pahuñche
yahāñ se phir rah-e-pur-ḳhār ye to honā thā

ufuq se pūchh rahe haiñ kahāñ gayā sūraj
hue the der se bedār ye to honā thā

hamīñ ne us ke liye rāste banā.e the
ki ghar tak aa gayā bāzār ye to honā thā

ta.alluqāt kī ta.amīr meñ ḳhulūs thā kam
buland-tar huī dīvār ye to honā thā

rahe na ghar ke hue KHwar ye to hona tha
teri talash mein ai yar ye to hona tha

qatar jalte charaghon ki bar-sar-e-diwar
siyahiyan pas-e-diwar ye to hona tha

zamin banTne walon ke hum muKHalif the
hamin pe aa giri talwar ye to hona tha

guzar ke ek rah-e-pur-KHar se yahan pahunche
yahan se phir rah-e-pur-KHar ye to hona tha

ufuq se puchh rahe hain kahan gaya suraj
hue the der se bedar ye to hona tha

hamin ne us ke liye raste banae the
ki ghar tak aa gaya bazar ye to hona tha

talluqat ki tamir mein KHulus tha kam
buland-tar hui diwar ye to hona tha


Leave a comment

+