Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaidurrahman Niyazi

  • Ghazal


saya kiye hue tha jo baadal nahin raha


saaya kiye hue thā jo bādal nahīñ rahā
āfāt kā ye mehr magar Dhal nahīñ rahā

sar par thī us kī chhāñv to maujūd the havās
paglā ga.e haiñ ham ki vo āñchal nahīñ rahā

jīvan kī shāhrāh ko raushan kiye hue
ik hī to qumquma thā jo ab jal nahīñ rahā

ik ḳhūb-rū parinda baḌī duur jā basā
ab ḳhvāhishoñ kā baaġh mukammal nahīñ rahā

Thahre hue the ham to chale jā rahā thā vaqt
jab saath chal diye haiñ to ab chal nahīñ rahā

dekhā to us taraf koī maujūd hī na thā
jab darmiyān ḳhauf kā daldal nahīñ rahā

mere taḳhaiyyulāt ne jaadū sā kar diyā
vo sāmne na ho ke bhī ojhal nahīñ rahā

saya kiye hue tha jo baadal nahin raha
aafat ka ye mehr magar Dhal nahin raha

sar par thi us ki chhanw to maujud the hawas
pagla gae hain hum ki wo aanchal nahin raha

jiwan ki shahrah ko raushan kiye hue
ek hi to qumquma tha jo ab jal nahin raha

ek KHub-ru parinda baDi dur ja basa
ab KHwahishon ka bagh mukammal nahin raha

Thahre hue the hum to chale ja raha tha waqt
jab sath chal diye hain to ab chal nahin raha

dekha to us taraf koi maujud hi na tha
jab darmiyan KHauf ka daldal nahin raha

mere taKHaiyyulat ne jadu sa kar diya
wo samne na ho ke bhi ojhal nahin raha


Leave a comment

+