ho chukī hijrat to phir kyā farz hai ghar dekhnā
apnī fitrat meñ nahīñ pīchhe palaT kar dekhnā
ab vo bargad hai na vo panghaT na ab vo gopiyāñ
aise pas-manzar meñ kyā gaañv kā manzar dekhnā
jāda-e-gul kī masāfat hī nahīñ hai zindagī
zindagī karnā hai añgāroñ pe chal kar dekhnā
apne muḳhlis dostoñ par vaar maiñ kaise karūñ
koī dushman sāmne aa.e to jauhar dekhnā
pyaas hoñToñ par liye baiThā huuñ sāhil par magar
zid pe aa jā.ūñ to kuuze meñ samundar dekhnā
khiḌkiyāñ khulte hī ham hoñge nishāna vaqt kā
zaḳhm siine par sajānā ho to bāhar dekhnā
mere hāthoñ kī lakīroñ meñ hai gardish vaqt kī
merī qismat hī meñ likkhā thā ye chakkar dekhnā
zindagī bhar Thokareñ khāne se behtar hai 'zafar'
rāsta chalte hue raste ke patthar dekhnā
ho chuki hijrat to phir kya farz hai ghar dekhna
apni fitrat mein nahin pichhe palaT kar dekhna
ab wo bargad hai na wo panghaT na ab wo gopiyan
aise pas-manzar mein kya ganw ka manzar dekhna
jada-e-gul ki masafat hi nahin hai zindagi
zindagi karna hai angaron pe chal kar dekhna
apne muKHlis doston par war main kaise karun
koi dushman samne aae to jauhar dekhna
pyas honTon par liye baiTha hun sahil par magar
zid pe aa jaun to kuze mein samundar dekhna
khiDkiyan khulte hi hum honge nishana waqt ka
zaKHm sine par sajaana ho to bahar dekhna
mere hathon ki lakiron mein hai gardish waqt ki
meri qismat hi mein likkha tha ye chakkar dekhna
zindagi bhar Thokaren khane se behtar hai 'zafar'
rasta chalte hue raste ke patthar dekhna
Source: Book : Nawa-e-harf-e-khamoosh (Pg. 119) Author : Zafar Kaleem Publication : Zafar Kaleem (2007) Edition : 2007 Book : Nawa-e-harf-e-khamoosh (Pg. 119) Author : Zafar Kaleem Publication : Zafar Kaleem (2007) Edition : 2007
Leave a comment