Subscribe to our newsletter and get our newest updates

M Kothiyavi Rahi

  • Ghazal


hijr ka chand dard ki naddi


hijr kā chāñd dard kī naddī
yahī sūrat hai apnī duniyā kī

regzāroñ meñ sañg khilte haiñ
jaise bāġhoñ meñ shāḳh shāḳh kalī

merā ghar hai ki 'mīr'-sāhib kā
uf ye hoñToñ pe talḳh talḳh hañsī

aa gayā mausam-e-zamistāñ kyā
aag kī justujū meñ raat kaTī

kū-ba-kū dar-ba-dar bhaTakte hue
dekh lī aaj maut kī bhī galī

qufl hoñToñ kā TuuT kar hī rahā
dil-e-afsurda raat biit chalī

ek chaltī huī ġhazal par raat
'rāhī'-e-ġham-zada ne nazm kahī

hijr ka chand dard ki naddi
yahi surat hai apni duniya ki

regzaron mein sang khilte hain
jaise baghon mein shaKH shaKH kali

mera ghar hai ki 'mir'-sahib ka
uf ye honTon pe talKH talKH hansi

aa gaya mausam-e-zamistan kya
aag ki justuju mein raat kaTi

ku-ba-ku dar-ba-dar bhaTakte hue
dekh li aaj maut ki bhi gali

qufl honTon ka TuT kar hi raha
dil-e-afsurda raat bit chali

ek chalti hui ghazal par raat
'rahi'-e-gham-zada ne nazm kahi


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+