na durveshoñ kā ḳhirqa chāhiye na tāj-e-shāhānā
mujhe to hosh de itnā rahūñ maiñ tujh pe dīvānā
kitāboñ meñ dharā hai kyā bahut likh likh ke dho Dālīñ
hamāre dil pe naqsh-e-kal-hajr hai terā farmānā
ġhanīmat jaan jo dam guzre kaifiyat se gulshan meñ
diye jā sāqī-e-paimāñ-shikan bhar bhar ke paimānā
na dekhā vo kahīñ jalva jo dekhā ḳhāna-e-dil meñ
bahut masjid meñ sar maarā bahut sā DhūñDā but-ḳhānā
kuchh aisā ho ki jis se manzil-e-maqsūd ko pahuñchūñ
tarīq-e-pārsā.ī hove yā ho rāh-e-rindānā
ye saarī āmad-o-shud hai nafas kī āmad-o-shud par
isī tak aanā jaanā hai na phir jaanā na phir aanā
'zafar' vo zāhid-e-bedard kī hū-haq se behtar hai
kare gar rind dard-e-dil se hāv-hū-e-mastānā
na durweshon ka KHirqa chahiye na taj-e-shahana
mujhe to hosh de itna rahun main tujh pe diwana
kitabon mein dhara hai kya bahut likh likh ke dho Dalin
hamare dil pe naqsh-e-kal-hajr hai tera farmana
ghanimat jaan jo dam guzre kaifiyat se gulshan mein
diye ja saqi-e-paiman-shikan bhar bhar ke paimana
na dekha wo kahin jalwa jo dekha KHana-e-dil mein
bahut masjid mein sar mara bahut sa DhunDa but-KHana
kuchh aisa ho ki jis se manzil-e-maqsud ko pahunchun
tariq-e-parsai howe ya ho rah-e-rindana
ye sari aamad-o-shud hai nafas ki aamad-o-shud par
isi tak aana jaana hai na phir jaana na phir aana
'zafar' wo zahid-e-bedard ki hu-haq se behtar hai
kare gar rind dard-e-dil se haw-hu-e-mastana
Source: Book : Apna to mile koi (Pg. 65) Author : Devmani Pandey Publication : Amrit parkashan (2012) Edition : 2012
Leave a comment