har nukta-e-butāñ hai adā sāz-e-dil-fareb
ḳhālī nahīñ tarab se ye hai nāz-e-dil-fareb
aise ThaToliyoñ se na kar be-qarār dil
jiine de koī dam tū ai tannāz-e-dil-fareb
shukr-e-ḳhudā phirā hai mirā nāma-bar shitāb
aa kaan meñ kahe hai ka.ī rāz-e-dil-fareb
hai ḳhauf-e-shādī marg na huuñ is ḳhushī se maiñ
us kī zabānī sunte ye āvāz-e-dil-fareb
dekhā hī kyā balā hai jo be-ḳhud hai 'imtiyāz'
kis kī nigāh-e-mast kā andāz-e-dil-fareb
ḳhāna-ḳharāb mujh se chhupāve hai kyuuñ batā
dekhūñ vo kaun hai tirā dam-sāz dil-fareb
bhar aah ro kahā ki vo mast-e-shabāb hai
miltā nahīñ kisī se ye e.azāz-e-dil-fareb
har nukta-e-butan hai ada saz-e-dil-fareb
KHali nahin tarab se ye hai naz-e-dil-fareb
aise ThaToliyon se na kar be-qarar dil
jine de koi dam tu ai tannaz-e-dil-fareb
shukr-e-KHuda phira hai mera nama-bar shitab
aa kan mein kahe hai kai raaz-e-dil-fareb
hai KHauf-e-shadi marg na hun is KHushi se main
us ki zabani sunte ye aawaz-e-dil-fareb
dekha hi kya bala hai jo be-KHud hai 'imtiyaz'
kis ki nigah-e-mast ka andaz-e-dil-fareb
KHana-KHarab mujh se chhupawe hai kyun bata
dekhun wo kaun hai tera dam-saz dil-fareb
bhar aah ro kaha ki wo mast-e-shabab hai
milta nahin kisi se ye eazaz-e-dil-fareb
RECITATIONS
Azra Naqvi
00:00/00:00
Har nuqta e wutan
Azra Naqvi
Leave a comment