Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejazulhaq Shahab

  • Ghazal


ek ek pal mein suno sainkaDon gham kaTte hain


ek ik pal meñ suno saiñkaḌoñ ġham kāTte haiñ
zindagī kaTtī kahāñ hai use ham kāTte haiñ

mil ke rahte haiñ vatan meñ sabhī ham-sā.e magar
is mohabbat ko siyāsat ke udham kāTte haiñ

gulshan-e-dahr ke har gul se mahaktā gulshan
mil ke ham aa.iye nafrat ke alam kāTte haiñ

ālam-e-hijr meñ haiñ vasl kī yādoñ ke charāġh
inhīñ yādoñ se tire hijr kā ġham kāTte haiñ

ham ne jo kī thī vafā vo hī vafā jurm huī
dekhiye is kī sazā kitne janam kāTte haiñ

paak rakkhā hai taḳhayyul ko ibādat kī tarah
itnī jiddat se tabhī sher kā zam kāTte haiñ

umr guzrī hai 'shahāb' apnī jafāoñ ke ta.iiñ
dil ko rah rah ke jafāoñ ke sitam kāTte haiñ

ek ek pal mein suno sainkaDon gham kaTte hain
zindagi kaTti kahan hai use hum kaTte hain

mil ke rahte hain watan mein sabhi ham-sae magar
is mohabbat ko siyasat ke udham kaTte hain

gulshan-e-dahr ke har gul se mahakta gulshan
mil ke hum aaiye nafrat ke alam kaTte hain

aalam-e-hijr mein hain wasl ki yaadon ke charagh
inhin yaadon se tere hijr ka gham kaTte hain

hum ne jo ki thi wafa wo hi wafa jurm hui
dekhiye is ki saza kitne janam kaTte hain

pak rakkha hai taKHayyul ko ibaadat ki tarah
itni jiddat se tabhi sher ka zam kaTte hain

umr guzri hai 'shahab' apni jafaon ke tain
dil ko rah rah ke jafaon ke sitam kaTte hain


Leave a comment

+