Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameela Khuda Bakhsh

  • Ghazal


marte marte ye humne kaam kiya


marte marte ye ham ne kaam kiyā
jaan de kar vafā kā naam kiyā

shaiḳh san.ā banā hai ishq meñ dil
but ko sajda kiyā salām kiyā

zulf-e-pur-pech khol kar ruḳh par
ek jā lutf-e-su.bh-o-shām kiyā

tum ne majnūñ kahā to āshiq ne
dasht-e-pur-ḳhār meñ qayām kiyā

mahv-e-hairat banā diyā mujh ko
tum ne kis lutf se kalām kiyā

chal ke gulshan meñ dekh le kaisā
mausam-e-gul ne ehtimām kiyā

mubtalā ḳhud nisār ho jaate
tum ne afsos qatl-e-ām kiyā

apne bandoñ ke vāste us ne
vaah kyā kuchh na intizām kiyā

saarī ḳhilqat huī tamāshā.ī
tum ne jab baam par qayām kiyā

kū-e-jānāñ hai mujh ko ḳhuld-e-barīñ
maiñ ne apnā yahīñ maqām kiyā

khīñch laayā 'jamīla' āḳhir-e-kār
jazb-e-sādiq ne ḳhuub kaam kiyā

marte marte ye hum ne kaam kiya
jaan de kar wafa ka nam kiya

shaiKH sana bana hai ishq mein dil
but ko sajda kiya salam kiya

zulf-e-pur-pech khol kar ruKH par
ek ja lutf-e-subh-o-sham kiya

tum ne majnun kaha to aashiq ne
dasht-e-pur-KHar mein qayam kiya

mahw-e-hairat bana diya mujh ko
tum ne kis lutf se kalam kiya

chal ke gulshan mein dekh le kaisa
mausam-e-gul ne ehtimam kiya

mubtala KHud nisar ho jate
tum ne afsos qatl-e-am kiya

apne bandon ke waste us ne
wah kya kuchh na intizam kiya

sari KHilqat hui tamashai
tum ne jab baam par qayam kiya

ku-e-jaanan hai mujh ko KHuld-e-barin
main ne apna yahin maqam kiya

khinch laya 'jamila' aaKHir-e-kar
jazb-e-sadiq ne KHub kaam kiya


Source: Book : Chand Chehra Sitara Aankhen (Pg. 71)

Leave a comment

+