Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Etibar Sajid

  • Ghazal


ye Thik hai ki bahut wahshaten bhi Thik nahin


ye Thiik hai ki bahut vahshateñ bhī Thiik nahīñ
magar hamārī zarā ādateñ bhī Thiik nahīñ

agar milo to khule dil ke saath ham se milo
ki rasmī rasmī sī ye chāhateñ bhī Thiik nahīñ

ta.alluqāt meñ gahrā.iyāñ to achchhī haiñ
kisī se itnī magar qurbateñ bhī Thiik nahīñ

dil o dimāġh se ghāyal haiñ tere hijr-nasīb
shikasta dar bhī haiñ un kī chhateñ bhī Thiik nahīñ

qalam uThā ke chalo hāl-e-dil hī likh Daalo
ki raat din kī bahut furqateñ bhī Thiik nahīñ

tum 'e'tibār' pareshāñ bhī in dinoñ ho bahut
dikhā.ī paḌtā hai kuchh sohbateñ bhī Thiik nahīñ

ye Thik hai ki bahut wahshaten bhi Thik nahin
magar hamari zara aadaten bhi Thik nahin

agar milo to khule dil ke sath hum se milo
ki rasmi rasmi si ye chahaten bhi Thik nahin

talluqat mein gahraiyan to achchhi hain
kisi se itni magar qurbaten bhi Thik nahin

dil o dimagh se ghayal hain tere hijr-nasib
shikasta dar bhi hain un ki chhaten bhi Thik nahin

qalam uTha ke chalo haal-e-dil hi likh Dalo
ki raat din ki bahut furqaten bhi Thik nahin

tum 'e'tibar' pareshan bhi in dinon ho bahut
dikhai paDta hai kuchh sohbaten bhi Thik nahin

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Unknown

Leave a comment

+