Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Farhan Hanif Warsi

  • Ghazal


makan chehre dukan chehre


makān chehre dukān chehre
hamārī bastī kī jaan chehre

ujaaḌ nasloñ ke nauhagar haiñ
ḳhizāñ-rasīda javān chehre

dhuāñ dhuāñ manzaroñ kā hissa
ḳhayāl ḳhushbū gumān chehre

rivāyatoñ ke nuqūsh jin par
vo khañDaroñ se makān chehre

koī ta.assur ho zindagī kā
kareñ ḳhushī ġham bayān chehre

koī nahīñ hai kisī se vāqif
nagar meñ sab be-nishān chehre

'hanīf' qadreñ badal chukī haiñ
na DhūñD vo darmiyān chehre

makan chehre dukan chehre
hamari basti ki jaan chehre

ujaD naslon ke nauhagar hain
KHizan-rasida jawan chehre

dhuan dhuan manzaron ka hissa
KHayal KHushbu guman chehre

riwayaton ke nuqush jin par
wo khanDaron se makan chehre

koi tassur ho zindagi ka
karen KHushi gham bayan chehre

koi nahin hai kisi se waqif
nagar mein sab be-nishan chehre

'hanif' qadren badal chuki hain
na DhunD wo darmiyan chehre


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+