Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Lutf-ur-rahman

  • Ghazal


bahut maza tha uDan mein bhi


bahut mazā thā uḌaan meñ bhī
yaqīñ thā raushan gumān meñ bhī

hasīn shab par hai chāñd merā
dayā jalā āsmān meñ bhī

vahī akelā hai anjuman meñ
vahī hai tanhā makān meñ bhī

chaTān meñ bhī ravāñ hai dariyā
chhapā hai dariyā chaTān meñ bhī

hue the baazū bhī shal hamāre
huā na thī bādbān meñ bhī

vahī thā āġhāz-o-intihā bhī
vahī rahā darmiyān meñ bhī

chaḌhā na thā tiir bhī nazar kā
lachak na thī kuchh kamān meñ bhī

bahut maza tha uDan mein bhi
yaqin tha raushan guman mein bhi

hasin shab par hai chand mera
daya jala aasman mein bhi

wahi akela hai anjuman mein
wahi hai tanha makan mein bhi

chaTan mein bhi rawan hai dariya
chhapa hai dariya chaTan mein bhi

hue the bazu bhi shal hamare
hua na thi baadban mein bhi

wahi tha aaghaz-o-intiha bhi
wahi raha darmiyan mein bhi

chaDha na tha tir bhi nazar ka
lachak na thi kuchh kaman mein bhi


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+