biite vaqt kā chehra DhūñDhtā rahtā hai
dil pāgal hai kyā kyā DhūñDhtā rahtā hai
ḳhāmoshī bhī ek sadā hī hai jis ko
sunñe vaalā goyā DhūñDhtā rahtā hai
shabnam shabnam pighlī pighlī yādeñ haiñ
merā ġham to sahrā DhūñDhtā rahtā hai
us ne apnī manzil hāsil kar lī hai
phir kyuuñ ghar kā rasta DhūñDhtā rahtā hai
dil sab se miltā hai halke lahje meñ
sab meñ kuchh kuchh tujh sā DhūñDhtā rahtā hai
bech diyā gul-dān virāsat kā us ne
bhaa.ī mirā ab gamlā DhūñDhtā rahtā hai
jeb meñ dil thaile meñ patthar le kar 'arsh'
shahr koī dīvāna DhūñDhtā rahtā hai
bite waqt ka chehra DhunDhta rahta hai
dil pagal hai kya kya DhunDhta rahta hai
KHamoshi bhi ek sada hi hai jis ko
sunne wala goya DhunDhta rahta hai
shabnam shabnam pighli pighli yaaden hain
mera gham to sahra DhunDhta rahta hai
us ne apni manzil hasil kar li hai
phir kyun ghar ka rasta DhunDhta rahta hai
dil sab se milta hai halke lahje mein
sab mein kuchh kuchh tujh sa DhunDhta rahta hai
bech diya gul-dan wirasat ka us ne
bhai mera ab gamla DhunDhta rahta hai
jeb mein dil thaile mein patthar le kar 'arsh'
shahr koi diwana DhunDhta rahta hai
Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 282) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009
Leave a comment