Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naheed Virk

  • Ghazal


ab kahan uski zarurat hai hamein


ab kahāñ us kī zarūrat hai hameñ
ab akele-pan kī aadat hai hameñ

dekhiye jā kar kahāñ rukte haiñ ab
terī qurbat se to hijrat hai hameñ

saañs letī ek ḳhushbū hai jise
vird karne kī ijāzat hai hameñ

dil-jazīre par hai us kī raushnī
ik sitāre se mohabbat hai hameñ

ab zarā sargoshiyoñ meñ baat ho
mehrbāñ lahje kī aadat hai hameñ

phir usī chaukhaT kī dil ko hai taḌap
phir usī dar par sukūnat hai hameñ

ham tahayyur khol deñge aañkh se
ki mayassar terī qurbat hai hameñ

ab kahan us ki zarurat hai hamein
ab akele-pan ki aadat hai hamein

dekhiye ja kar kahan rukte hain ab
teri qurbat se to hijrat hai hamein

sans leti ek KHushbu hai jise
wird karne ki ijazat hai hamein

dil-jazire par hai us ki raushni
ek sitare se mohabbat hai hamein

ab zara sargoshiyon mein baat ho
mehrban lahje ki aadat hai hamein

phir usi chaukhaT ki dil ko hai taDap
phir usi dar par sukunat hai hamein

hum tahayyur khol denge aankh se
ki mayassar teri qurbat hai hamein


Leave a comment

+