Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Lutfunnisa Imtiyaz

  • Ghazal


hai dil-e-ushshaq tere jam-o-mina bin KHarab


hai dil-e-ushshāq tere jām-o-mīnā bin ḳharāb
rahm kar is vaqt par saaqī piyāla de shitāb

kyā hī nā-ḳhush ho rahā dil kuchh kahā jaatā nahīñ
abr aave jhuum aisā nā mile qatra sharāb

vā.izā mastoñ kā dil haigā ḳhudā kā ghar sarīh
toḌ mat us ke ta.iiñ sañg-sitam se kar azaab

haiñ jahāñ tak shajar-e-duniyā sab ho jāveñ taak ke
yā-ilāhī hai duā gar āshiqoñ kī mustajāb

muntazir ho kar khaḌā hai 'imtiyāz' aa zer-e-qasr
ik nigāh-e-lutf farmā ai shah-e-vālā janāb

hai dil-e-ushshaq tere jam-o-mina bin KHarab
rahm kar is waqt par saqi piyala de shitab

kya hi na-KHush ho raha dil kuchh kaha jata nahin
abr aawe jhum aisa na mile qatra sharab

waiza maston ka dil haiga KHuda ka ghar sarih
toD mat us ke tain sang-sitam se kar azab

hain jahan tak shajar-e-duniya sab ho jawen tak ke
ya-ilahi hai dua gar aashiqon ki mustajab

muntazir ho kar khaDa hai 'imtiyaz' aa zer-e-qasr
ek nigah-e-lutf farma ai shah-e-wala janab

RECITATIONS Azra Naqvi



00:00/00:00 Hai dil e ushshaq Azra Naqvi

Leave a comment

+