Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Uzlat

  • Ghazal


tujhse bosa main na manga kabhu Darte Darte


tujh se bosa maiñ na māñgā kabhū Darte Darte
dekhiye āb-e-baqā pā.ūñgā marte marte

kyā hai insāf ki juuñ sub.h tū hañstā hai hanūz
mar chukā sham.a sā maiñ girya hī karte karte

ab to muñh de mujhe ai nūr-e-nazar ā.īna-vār
gar ga.iiñ palkeñ sarishk aañkh se jhaḌte jhaḌte

na huā dard sar-e-nāz kā sandal tujhe haa.e
ghus gayā māthā tire paañv pe dharte dharte

jab se dikhlā gayā jāñ-baḳhsh tū jalve kī bahār
mar ga.iiñ bulbuleñ gulzār se girte girte

ham divānoñ ko nahīñ hājat-e-zindāñ tifloñ
chhup ga.e Dher meñ ham sañg ke paḌte paḌte

zarra kar mahr tū 'uzlat' pe ki mānind-e-hilāl
ḳhālī huuñ aap se din hijr ke phirte phirte

tujh se bosa main na manga kabhu Darte Darte
dekhiye aab-e-baqa paunga marte marte

kya hai insaf ki jun subh tu hansta hai hanuz
mar chuka shama sa main girya hi karte karte

ab to munh de mujhe ai nur-e-nazar aaina-war
gar gain palken sarishk aankh se jhaDte jhaDte

na hua dard sar-e-naz ka sandal tujhe hae
ghus gaya matha tere panw pe dharte dharte

jab se dikhla gaya jaan-baKHsh tu jalwe ki bahaar
mar gain bulbulen gulzar se girte girte

hum diwanon ko nahin hajat-e-zindan tiflon
chhup gae Dher mein hum sang ke paDte paDte

zarra kar mahr tu 'uzlat' pe ki manind-e-hilal
KHali hun aap se din hijr ke phirte phirte


Source: Shab Khoon(Shumara Number-064)

Leave a comment

+