Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yunus Tahseen

  • Ghazal


ain masti mein hun dil duniya se begana hai


ain mastī meñ huuñ dil duniyā se begāna hai
kyūñki ab pesh-e-nazar jalva-e-jānāna hai

hashr ke roz mulāqāt kā parvāna hai
hauz-e-kausar mire mahbūb kā mai-ḳhāna hai

chaar unsur ke tarāshe ko tū aiñvīñ na samajh
zarra zarra mirī tauqīr meñ dīvāna hai

avval avval mujhe taḳhlīq kiyā thā us ne
arsh ke nīche kā saarā mirā kāshāna hai

bāda-e-nūr ke do qatre haiñ ye raat aur din
aañkh be-ant kī gahrā.ī kā paimāna hai

jis ko fānūs meñ sho.ale kī samajh aa jaa.e
us ke aage na koī majnūñ na dīvāna hai

jism kā jism se kuchh din kā ta.alluq hogā
ruuh kā ruuh se āġhāz kā yārāna hai

vasl hī asl hai 'tahsīn' pareshāñ mat ho
hijr-e-ādam se hue jurm kā jurmāna hai

ain masti mein hun dil duniya se begana hai
kyunki ab pesh-e-nazar jalwa-e-jaanana hai

hashr ke roz mulaqat ka parwana hai
hauz-e-kausar mere mahbub ka mai-KHana hai

chaar unsur ke tarashe ko tu ainwin na samajh
zarra zarra meri tauqir mein diwana hai

awwal awwal mujhe taKHliq kiya tha us ne
arsh ke niche ka sara mera kashana hai

baada-e-nur ke do qatre hain ye raat aur din
aankh be-ant ki gahrai ka paimana hai

jis ko fanus mein shoale ki samajh aa jae
us ke aage na koi majnun na diwana hai

jism ka jism se kuchh din ka talluq hoga
ruh ka ruh se aaghaz ka yarana hai

wasl hi asl hai 'tahsin' pareshan mat ho
hijr-e-adam se hue jurm ka jurmana hai


Leave a comment

+