ek hoñ nālāñ qafas meñ haa.e ai bulbul ḳhamosh
sun tirā āvāz aur sahrā huā hai sabz-posh
de piyāla ab tū saaqī kuchh nahīñ dhaḌkā rahā
vā.izā kah mohtasib se ham hue haiñ jām-nosh
hai yahī dahshat mabādā ye jo bhāve ḳhalq kuuñ
be-tarah dariyā-e-dil ko ab mire aayā hai josh
ai ḳhumār-ālūda dil jānāñ ke sanmukh samhliyo
husn ke bāzār meñ rakhtā vo āñkheñ mai-farosh
har ghaḌī har aan dil meñ 'imtiyāz' ab yaad kar
vāqi.a ko karbalā ke lā nazar meñ kar ḳharosh
ek hon nalan qafas mein hae ai bulbul KHamosh
sun tera aawaz aur sahra hua hai sabz-posh
de piyala ab tu saqi kuchh nahin dhaDka raha
waiza kah mohtasib se hum hue hain jam-nosh
hai yahi dahshat mabaada ye jo bhawe KHalq kun
be-tarah dariya-e-dil ko ab mere aaya hai josh
ai KHumar-aluda dil jaanan ke sanmukh samhliyo
husn ke bazar mein rakhta wo aankhen mai-farosh
har ghaDi har aan dil mein 'imtiyaz' ab yaad kar
waqia ko karbala ke la nazar mein kar KHarosh
RECITATIONS
Azra Naqvi
00:00/00:00
Ek hon nalan qafas mein
Azra Naqvi
Leave a comment