Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dilawar Ali Aazar

  • Ghazal


hawas se jism ko do-chaar karne wali hawa


havas se jism ko do-chār karne vaalī havā
chalī huī hai gunahgār karne vaalī havā

yahīñ kahīñ mirā lashkar paḌāv Dālegā
yahīñ kahīñ hai giraftār karne vaalī havā

tamām sīna-sipar peḌ jhukne vaale haiñ
havā hai aur nigūñ-sār karne vaalī havā

paḌe hue haiñ yahāñ ab jo sar-burīda charāġh
guzishta raat thī yalġhār karne vaalī havā

hamārī ḳhaak uḌātī phire hai shahr-ba-shahr
hamārī ruuh kā inkār karne vaalī havā

usī ḳharābe meñ rahne kī Thaan baiThī hai
badan kā dasht nahīñ paar karne vaalī havā

na jaane kaun taraf le ke chal paḌe 'āzar'
dhueñ se mujh ko numūdār karne vaalī havā

hawas se jism ko do-chaar karne wali hawa
chali hui hai gunahgar karne wali hawa

yahin kahin mera lashkar paDaw Dalega
yahin kahin hai giraftar karne wali hawa

tamam sina-sipar peD jhukne wale hain
hawa hai aur nigun-sar karne wali hawa

paDe hue hain yahan ab jo sar-burida charagh
guzishta raat thi yalghaar karne wali hawa

hamari KHak uDati phire hai shahr-ba-shahr
hamari ruh ka inkar karne wali hawa

usi KHarabe mein rahne ki Than baiThi hai
badan ka dasht nahin par karne wali hawa

na jaane kaun taraf le ke chal paDe 'azar'
dhuen se mujh ko numudar karne wali hawa


Source: Book : Rang Sapno ke (Pg. 99) Author : Pramod Sharma 'Asar' Publication : Amrit Parkashan (2016) Edition : 2016

Leave a comment

+