aaj mā.il-ba-karam ik but-e-ra.anā.ī hai
saarī duniyā mire dāman meñ simaT aa.ī hai
husn masrūf-e-tajalli-o-ḳhud-ārā.ī hai
vo tamāsha hī nahīñ ḳhud bhī tamāshā.ī hai
aap se pahle kahāñ ġham se shanāsā.ī thī
mil ga.e aap to har ġham se shanāsā.ī hai
is tarah dekhnā jaise mujhe dekhā hī nahīñ
ye adā aap kī ḳhud maz.har-e-yaktā.ī hai
chand kaliyāñ hī nahīñ saarā chaman apnā hai
kaun Tokegā hameñ kis kī qazā aa.ī hai
jis meñ dahke hue sho.ale kī sī tāsīr na ho
vo 'ziyā' sher nahīñ qāfiya-paimā.ī hai
aaj mail-ba-karam ek but-e-ranai hai
sari duniya mere daman mein simaT aai hai
husn masruf-e-tajalli-o-KHud-arai hai
wo tamasha hi nahin KHud bhi tamashai hai
aap se pahle kahan gham se shanasai thi
mil gae aap to har gham se shanasai hai
is tarah dekhna jaise mujhe dekha hi nahin
ye ada aap ki KHud mazhar-e-yaktai hai
chand kaliyan hi nahin sara chaman apna hai
kaun Tokega hamein kis ki qaza aai hai
jis mein dahke hue shoale ki si tasir na ho
wo 'ziya' sher nahin qafiya-paimai hai
Source: Book : Urdu Gazal ka Magribi Daricha (Pg. 200) Author : Dr. Jawaz Jafri Publication : Kitab Saray, Lahore (2011) Edition : 2011
Leave a comment