Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Girija Wiyas

  • Ghazal


KHanjar ko rag-e-jaan se guzarne nahin dega


ḳhanjar ko rag-e-jāñ se guzarne nahīñ degā
vo shaḳhs mujhe chain se marne nahīñ degā

phir koī na.ī aas vo de jā.egā dil ko
TuuTe hue shīshe ko bikharne nahīñ degā

din Dhalte nikal aa.egā phir yaad kā sūraj
saaya mire āñgan meñ utarne nahīñ degā

har shaḳhs ko mehmān banā legā vo lekin
mujh ko kabhī ghar apne Thaharne nahīñ degā

rakkhegā na shāne pe mire haath vo apnā
zaḳhmoñ ko mire dil ke vo bharne nahīñ degā

KHanjar ko rag-e-jaan se guzarne nahin dega
wo shaKHs mujhe chain se marne nahin dega

phir koi nai aas wo de jaega dil ko
TuTe hue shishe ko bikharne nahin dega

din Dhalte nikal aaega phir yaad ka suraj
saya mere aangan mein utarne nahin dega

har shaKHs ko mehman bana lega wo lekin
mujh ko kabhi ghar apne Thaharne nahin dega

rakkhega na shane pe mere hath wo apna
zaKHmon ko mere dil ke wo bharne nahin dega


Leave a comment

+