Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaif Moradaabadi

  • Ghazal


rasai sai-e-na-mashkur ho jae to kya hoga


rasā.ī sa.i-e-nā-mashkūr ho jaa.e to kyā hogā
qadam rakhte hī manzil duur ho jaa.e to kyā hogā

tajallī ḳhud hijāb-e-nūr ho jaa.e to kyā hogā
ba-zāhir bhī koī mastūr ho jaa.e to kyā hogā

haqīqat meñ koī mahjūr ho jaa.e to kyā hogā
nazar se duur dil se duur ho jaa.e to kyā hogā

abhī to aarzī hai dost ban kar dushmanī karnā
jo duniyā kā yahī dastūr ho jaa.e to kyā hogā

ye sab se chhup ke ḳhud ko aa.ine meñ dekhne vaale
nazar ḳhalvat meñ barq-e-tūr ho jaa.e to kyā hogā

liye jaatā hai azm-e-tark-e-ulfat un kī mahfil meñ
nazar uThte hī dil majbūr ho jaa.e to kyā

nizām-e-āshiqī qaa.em hai un kī be-niyāzī se
kisī kī iltijā manzūr ho jaa.e to kyā hogā

har ik ko 'kaif' tum kyoñ apnā afsāna sunāte ho
ġham-e-ulfat ġham-e-jamhūr ho jaa.e to kyā hogā

rasai sai-e-na-mashkur ho jae to kya hoga
qadam rakhte hi manzil dur ho jae to kya hoga

tajalli KHud hijab-e-nur ho jae to kya hoga
ba-zahir bhi koi mastur ho jae to kya hoga

haqiqat mein koi mahjur ho jae to kya hoga
nazar se dur dil se dur ho jae to kya hoga

abhi to aarzi hai dost ban kar dushmani karna
jo duniya ka yahi dastur ho jae to kya hoga

ye sab se chhup ke KHud ko aaine mein dekhne wale
nazar KHalwat mein barq-e-tur ho jae to kya hoga

liye jata hai azm-e-tark-e-ulfat un ki mahfil mein
nazar uThte hi dil majbur ho jae to kya

nizam-e-ashiqi qaem hai un ki be-niyazi se
kisi ki iltija manzur ho jae to kya hoga

har ek ko 'kaif' tum kyon apna afsana sunate ho
gham-e-ulfat gham-e-jamhur ho jae to kya hoga


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+