Subscribe to our newsletter and get our newest updates

M. Usman Shakir

  • Ghazal


tere baghair KHud se juda lag raha hun aaj


tere baġhair ḳhud se judā lag rahā huuñ aaj
be-laus chāhatoñ kī sazā lag rahā huuñ aaj

tum se bichhaḌ ke ḳhud ko ajab faiz hai milā
maiñ apnī ḳhvāhishoñ kā ḳhudā lag rahā huuñ aaj

maiñ to tumhāre hijr meñ yuuñ chuur ho gayā
ujḌe hue chaman kī havā lag rahā huuñ aaj

rasmoñ kī bheñT aise chaḌhā huuñ maiñ ai qafas
in biktī dilhanoñ kī ridā lag rahā huuñ aaj

'shākir' maiñ kaise ahd nibhā.ūñgā is baras
puurī na ho sake jo duā lag rahā huuñ aaj

tere baghair KHud se juda lag raha hun aaj
be-laus chahaton ki saza lag raha hun aaj

tum se bichhaD ke KHud ko ajab faiz hai mila
main apni KHwahishon ka KHuda lag raha hun aaj

main to tumhaare hijr mein yun chur ho gaya
ujDe hue chaman ki hawa lag raha hun aaj

rasmon ki bhenT aise chaDha hun main ai qafas
in bikti dilhanon ki rida lag raha hun aaj

'shakir' main kaise ahd nibhaunga is baras
puri na ho sake jo dua lag raha hun aaj


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+