Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fana bulandshahri

  • Ghazal


KHabar hi nahin kaise angDai le kar nigahen uThae ki saghar uThae


ḳhabar hī nahīñ kaise añgḌā.ī le kar nigāheñ uThā.e ki sāġhar uThā.e
kuchh aisā nasha chhā gayā zindagī par sambhalte sambhalte qadam Dagmagā.e

bane husn vaale sarāpā qayāmat javānī jab aa.ī to andāz aa.e
girā.ī kabhī shoḳh nazroñ se bijlī kabhī sharm aa.ī kabhī muskurā.e

koī jā ke mere masīhā se kah de ḳhudā ke liye aag dil kī bujhā de
mohabbat ke sho.ale bhaḌakne lage haiñ kahīñ ḳhirman-e-zindagī jal na jaa.e

ho un kā dīdār qismat se jab bhī adā ho ga.ī hai namāz-e-mohabbat
nikal aa.e jab bhī vo parde se bāhar nigāhoñ ne jhuk jhuk ke sajde sunā.e

sunā.e kise apnī ġham kī kahānī kidhar jaa.e vo terī mahfil se uTh kar
nazar ne tirī jis kā dil le liyā ho vo qismat kā maarā kahāñ chain paa.e

chaman vaale achchhī tarah jānte haiñ chaman meñ jo qurbāniyāñ ham ne dī haiñ
chaman se añdhere miTāne kī ḳhātir nasheman banā.e nasheman jalā.e

na saaqī na botal na hai raqs-e-sāġhar udāsī hai chhā.ī huī anjuman par
fanā-sāzoñ dil se ġhazal aisī chheḌo 'fanā' naach uThe zindagī jhuum jaa.e

KHabar hi nahin kaise angDai le kar nigahen uThae ki saghar uThae
kuchh aisa nasha chha gaya zindagi par sambhalte sambhalte qadam Dagmagae

bane husn wale sarapa qayamat jawani jab aai to andaz aae
girai kabhi shoKH nazron se bijli kabhi sharm aai kabhi muskurae

koi ja ke mere masiha se kah de KHuda ke liye aag dil ki bujha de
mohabbat ke shoale bhaDakne lage hain kahin KHirman-e-zindagi jal na jae

ho un ka didar qismat se jab bhi ada ho gai hai namaz-e-mohabbat
nikal aae jab bhi wo parde se bahar nigahon ne jhuk jhuk ke sajde sunae

sunae kise apni gham ki kahani kidhar jae wo teri mahfil se uTh kar
nazar ne teri jis ka dil le liya ho wo qismat ka mara kahan chain pae

chaman wale achchhi tarah jaante hain chaman mein jo qurbaniyan hum ne di hain
chaman se andhere miTane ki KHatir nasheman banae nasheman jalae

na saqi na botal na hai raqs-e-saghar udasi hai chhai hui anjuman par
fana-sazon dil se ghazal aisi chheDo 'fana' nach uThe zindagi jhum jae


Leave a comment

+