Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ibrat Bahraichi

  • Ghazal


chahe sahra mein chahe ghar rahna


chāhe sahrā meñ chāhe ghar rahnā
zindagī se qarīb-tar rahnā

jis ke ghar jaanā mehmāñ ban kar
us ke ghar yaar muḳhtasar rahnā

chāhte ho agar mile shohrat
roz kī taaza ik ḳhabar rahnā

ye munāfī hai ādamiyat ke
be-ḳhabar aur ḳhud-nigar rahnā

aañch aane na paa.e izzat par
tum guhar ho sadā guhar rahnā

kārnāmoñ se apne ai hamdam
tum amar ho to phir amar rahnā

ye guzārish hai tum se ai 'ibrat'
umr-bhar mere ham-safar rahnā

chahe sahra mein chahe ghar rahna
zindagi se qarib-tar rahna

jis ke ghar jaana mehman ban kar
us ke ghar yar muKHtasar rahna

chahte ho agar mile shohrat
roz ki taza ek KHabar rahna

ye munafi hai aadamiyat ke
be-KHabar aur KHud-nigar rahna

aanch aane na pae izzat par
tum guhar ho sada guhar rahna

karnamon se apne ai hamdam
tum amar ho to phir amar rahna

ye guzarish hai tum se ai 'ibrat'
umr-bhar mere ham-safar rahna


Leave a comment

+