Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chitra Bhardwaj suman

  • Ghazal


abhi hijr daman mein utra nahin hai


abhī hijr dāman meñ utrā nahīñ hai
magar vasl kā bhī to charchā nahīñ hai

abhī dhuup āñgan meñ khul ke na aa.ī
abhī raat se rabt TuuTā nahīñ hai

ḳhabar tere aane kī jis din milī thī
usī din se khiḌkī pe parda nahīñ hai

anā ko liye kab se baiThā hai dariyā
jagah se samundar bhī hiltā nahīñ hai

nadī aas meñ suukh jā.egī ik din
ye nādān bādal barastā nahīñ hai

gayā ziist kā āḳhirī moḌ kah kar
kisī ke liye vaqt Thahrā nahīñ hai

vahāñ ishq kā paañv paḌtā hai aksar
jahāñ se 'suman' aage rasta nahīñ hai

abhi hijr daman mein utra nahin hai
magar wasl ka bhi to charcha nahin hai

abhi dhup aangan mein khul ke na aai
abhi raat se rabt TuTa nahin hai

KHabar tere aane ki jis din mili thi
usi din se khiDki pe parda nahin hai

ana ko liye kab se baiTha hai dariya
jagah se samundar bhi hilta nahin hai

nadi aas mein sukh jaegi ek din
ye nadan baadal barasta nahin hai

gaya zist ka aaKHiri moD kah kar
kisi ke liye waqt Thahra nahin hai

wahan ishq ka panw paDta hai aksar
jahan se 'suman' aage rasta nahin hai


Leave a comment

+