dayār-e-shauq meñ aa.e the ek ḳhvāb ke saath
guzar rahī hai musalsal kisī azaab ke saath
ham ahl-e-dard pukāre ga.e sahīfoñ meñ
ham ahl-e-ishq utāre ga.e kitāb ke saath
phir ek shaam pazīrā.ī chashm-e-tar kī huī
phir ek shaam guzārī ga.ī janāb ke saath
hameñ ye ḳhauf añdhere nigal na jaa.eñ kahīñ
so ham ne jism ko Dhāñpā hai āftāb ke saath
mukālima rahā jaarī hamārī āñkhoñ kā
badan kī shāḳh pe khilte hue gulāb ke saath
kuchh aur chāhiye tishna-labī miTāne ko
ye pyaas vo hai jo bujhtī nahīñ sharāb ke saath
'za.īm' vo mirī dariyā-dilī se Dartā hai
vo mujh se miltā hai lekin baḌe hisāb ke saath
dayar-e-shauq mein aae the ek KHwab ke sath
guzar rahi hai musalsal kisi azab ke sath
hum ahl-e-dard pukare gae sahifon mein
hum ahl-e-ishq utare gae kitab ke sath
phir ek sham pazirai chashm-e-tar ki hui
phir ek sham guzari gai janab ke sath
hamein ye KHauf andhere nigal na jaen kahin
so hum ne jism ko Dhanpa hai aaftab ke sath
mukalima raha jari hamari aankhon ka
badan ki shaKH pe khilte hue gulab ke sath
kuchh aur chahiye tishna-labi miTane ko
ye pyas wo hai jo bujhti nahin sharab ke sath
'zaim' wo meri dariya-dili se Darta hai
wo mujh se milta hai lekin baDe hisab ke sath
Pachas Sala Intekhab"
Leave a comment