kañval jo vo kanār-e-ābjū na ho
kisī bhī apsarā se guftugū na ho
qazā huā hai ek jism-e-be-tarah
kahīñ hamārī aañkh be-vazū na ho
hatheliyoñ meñ bhar ke baat to kareñ
charāġh ko mukālme kī ḳhū na ho
damak rahā hai kesarī hijāb se
is ā.īne meñ koī hū-ba-hū na ho
maiñ kyā karūñgā rah ke is jahān meñ
jahāñ pe ek ḳhvāb kī numū na ho
kanwal jo wo kanar-e-abju na ho
kisi bhi apsara se guftugu na ho
qaza hua hai ek jism-e-be-tarah
kahin hamari aankh be-wazu na ho
hatheliyon mein bhar ke baat to karen
charagh ko mukalme ki KHu na ho
damak raha hai kesari hijab se
is aaine mein koi hu-ba-hu na ho
main kya karunga rah ke is jahan mein
jahan pe ek KHwab ki numu na ho
Leave a comment