Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Aasi

  • Ghazal


jin ki yaaden hain abhi dil mein nishani ki tarah


jin kī yādeñ haiñ abhī dil meñ nishānī kī tarah
vo hameñ bhuul ga.e ek kahānī kī tarah

dosto DhūñD ke ham sā koī pyāsā laao
ham to aañsū bhī jo piite haiñ to paanī kī tarah

ġham ko siine meñ chhupā.e hue rakhnā yaaro
ġham mahakte haiñ bahut raat kī raanī kī tarah

tum hamāre the tumheñ yaad nahīñ hai shāyad
din guzarte haiñ baraste hue paanī kī tarah

aaj jo log tire ġham pe hañse haiñ 'vālī'
kal tujhe yaad kareñge vahī 'fānī' kī tarah

jin ki yaaden hain abhi dil mein nishani ki tarah
wo hamein bhul gae ek kahani ki tarah

dosto DhunD ke hum sa koi pyasa lao
hum to aansu bhi jo pite hain to pani ki tarah

gham ko sine mein chhupae hue rakhna yaro
gham mahakte hain bahut raat ki rani ki tarah

tum hamare the tumhein yaad nahin hai shayad
din guzarte hain baraste hue pani ki tarah

aaj jo log tere gham pe hanse hain 'wali'
kal tujhe yaad karenge wahi 'fani' ki tarah


Leave a comment

+