Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Liyaqat Ali Aasim

  • Ghazal


mehrab-e-KHush-qayam se aage nikal gai


mehrāb-e-ḳhush-qayām se aage nikal ga.ī
ḳhushbū diye kī shaam se aage nikal ga.ī

ġhāfil na jāniye mujhe masrūf-e-jañg huuñ
us chup se jo kalām se aage nikal ga.ī

tum saath ho to dhuup kā ehsās tak nahīñ
ye dopahar to shaam se aage nikal ga.ī

marne kā koī ḳhauf na jiine kī aarzū
kyā zindagī davām se aage nikal ga.ī

'āsim' vo koī dost nahīñ thā jo Thahartā
duniyā thī apne kaam se aage nikal ga.ī

mehrab-e-KHush-qayam se aage nikal gai
KHushbu diye ki sham se aage nikal gai

ghafil na jaaniye mujhe masruf-e-jang hun
us chup se jo kalam se aage nikal gai

tum sath ho to dhup ka ehsas tak nahin
ye dopahar to sham se aage nikal gai

marne ka koi KHauf na jine ki aarzu
kya zindagi dawam se aage nikal gai

'asim' wo koi dost nahin tha jo Thaharta
duniya thi apne kaam se aage nikal gai

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Liyaqat Ali Aasim

Leave a comment

+