Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dushyant Kumar

  • Ghazal


ye shafaq sham ho rahi hai ab


ye shafaq shaam ho rahī hai ab
aur har gaam ho rahī hai ab

jis tabāhī se log bachte the
vo sar-e-ām ho rahī hai ab

azmat-e-mulk is siyāsat ke
haath nīlām ho rahī hai ab

shab ġhanīmat thī log kahte haiñ
sub.h badnām ho rahī hai ab

jo kiran thī kisī darīche kī
markaz-e-bām ho rahī hai ab

tishna-lab terī phusphusāhaT bhī
ek paiġhām ho rahī hai ab

ye shafaq sham ho rahi hai ab
aur har gam ho rahi hai ab

jis tabahi se log bachte the
wo sar-e-am ho rahi hai ab

azmat-e-mulk is siyasat ke
hath nilam ho rahi hai ab

shab ghanimat thi log kahte hain
subh badnam ho rahi hai ab

jo kiran thi kisi dariche ki
markaz-e-baam ho rahi hai ab

tishna-lab teri phusphusahaT bhi
ek paigham ho rahi hai ab


Leave a comment

+