Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naqqash Ali Balooch

  • Ghazal


tere falak pe kahin mera mahtab nahin


tire falak pe kahīñ merā māhtāb nahīñ
vo raushnī kā vasīla tire janāb nahīñ

gañvā chukā hai tū sāqī-e-hauz-e-kausar ko
ki tere zarf meñ ab tak sharāb-e-nāb nahīñ

tirī zabān pe allāh-hū kā na.ara hai
tire shi.ār meñ allāh kī kitāb nahīñ

tū ro rahā hai binā maqsad-e-husainī ke
tirī azā meñ kahīñ zainabī-nisāb nahīñ

tirī nigāh-e-talabgār dīd-e-mehdī hai
tire irāde meñ garmī-e-inqalāb nahīñ

tirī zamīn pe tāġhūt kī hukūmat hai
tire mizāj meñ bū-zar kā iztirāb nahīñ

jo reg-zār ko zarḳhez-o-zarfishān kare
tire vajūd ke sahrā pe vo sahāb nahīñ

tere falak pe kahin mera mahtab nahin
wo raushni ka wasila tere janab nahin

ganwa chuka hai tu saqi-e-hauz-e-kausar ko
ki tere zarf mein ab tak sharab-e-nab nahin

teri zaban pe allah-hu ka nara hai
tere shiar mein allah ki kitab nahin

tu ro raha hai bina maqsad-e-husaini ke
teri aza mein kahin zainabi-nisab nahin

teri nigah-e-talabgar did-e-mehdi hai
tere irade mein garmi-e-inqalab nahin

teri zamin pe taghut ki hukumat hai
tere mizaj mein bu-zar ka iztirab nahin

jo reg-zar ko zarKHez-o-zarfishan kare
tere wajud ke sahra pe wo sahab nahin


Leave a comment

+