taptā sūraj shaam ko Dhal jā.egā
vaqt kaisā hī paḌe Tal jā.egā
aa gayā hai raas vīrāna use
lauT ke ghar kaise pāgal jā.egā
jhūmtā lahrātā lalchātā chalā
kyā patā kis des bādal jā.egā
phūñkne se qabl ham-sā.e kā ghar
ye na sochā apnā ghar jal jā.egā
'faizī' kitne bā-vafā hote haiñ dost
vaqt paḌte hī patā chal jā.egā
tapta suraj sham ko Dhal jaega
waqt kaisa hi paDe Tal jaega
aa gaya hai ras virana use
lauT ke ghar kaise pagal jaega
jhumta lahraata lalchata chala
kya pata kis des baadal jaega
phunkne se qabl ham-sae ka ghar
ye na socha apna ghar jal jaega
'faizi' kitne ba-wafa hote hain dost
waqt paDte hi pata chal jaega
Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)
Leave a comment