na ab mujh ko sadā do thak gayā maiñ
tumhī jaao irādo thak gayā huuñ
nahīñ uTThī mirī talvār mujh se
uTho ai shāh-zādo thak gayā huuñ
zarā sā saath do ġham ke safar meñ
zarā sā muskurā do thak gayā huuñ
tumhāre saath huuñ phir bhī akelā
rafīqo rāsta do thak gayā huuñ
kahāñ tak ek hī tamsīl dekhūñ
bas ab parda girā do thak gayā huuñ
na ab mujh ko sada do thak gaya main
tumhi jao irado thak gaya hun
nahin uTThi meri talwar mujh se
uTho ai shah-zado thak gaya hun
zara sa sath do gham ke safar mein
zara sa muskura do thak gaya hun
tumhaare sath hun phir bhi akela
rafiqo rasta do thak gaya hun
kahan tak ek hi tamsil dekhun
bas ab parda gira do thak gaya hun
Leave a comment