Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yaqoob Parwaz

  • Ghazal


kyon tirgi pe tumko guman chandni ka hai


kyoñ tīrgī pe tum ko gumāñ chāñdnī kā hai
āḳhir ye rañg ruup kahāñ chāñdnī kā hai

zulmat kā ishtihār bane phir rahe haiñ ham
socho agar to ye bhī ziyāñ chāñdnī kā hai

ye raushnī kā shahr hai kaisā ki ab yahāñ
dekhā jise bhī nauha-kunāñ chāñdnī kā hai

is shahr-e-be-charāġh se aao nikal chaleñ
vo is liye ki shor yahāñ chāñdnī kā hai

nā-bīnagī ke rog meñ haiñ mubtalā vahī
'parvāz' jin kā apnā makāñ chāñdnī kā hai

kyon tirgi pe tum ko guman chandni ka hai
aaKHir ye rang rup kahan chandni ka hai

zulmat ka ishtihaar bane phir rahe hain hum
socho agar to ye bhi ziyan chandni ka hai

ye raushni ka shahr hai kaisa ki ab yahan
dekha jise bhi nauha-kunan chandni ka hai

is shahr-e-be-charagh se aao nikal chalen
wo is liye ki shor yahan chandni ka hai

na-binagi ke rog mein hain mubtala wahi
'parwaz' jin ka apna makan chandni ka hai


Leave a comment

+