Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wafa Naqvi

  • Ghazal


main apni zat ki tafsir karne wala kaun


maiñ apnī zaat kī tafsīr karne vaalā kaun
maiñ ek ḳhvāb huuñ ta.abīr karne vaalā kaun

likhī huī hai jo dil kī zabāñ meñ dhaḌkan par
maiñ is kitāb ko tahrīr karne vaalā kaun

abhī to qaid se niklā huuñ un nigāhoñ kī
maiñ phir ḳhayāl ko zanjīr karne vaalā kaun

maiñ apne-āp ko jītūñ yahī munāsib hai
maiñ mumkināt ko tasḳhīr karne vaalā kaun

mujhe aziiz hai din kī masāfatoñ kā shu.ūr
maiñ ek raat kī ta.amīr karne vaalā kaun

mire vajūd ke sahrā kā kab taqāza hai
maiñ apnī pyaas ko tasvīr karne vaalā kaun

jahāñ lahū kī samā.at ho sañg-e-ḳhāmoshī
maiñ is maqām pe taqrīr karne vaalā kaun

main apni zat ki tafsir karne wala kaun
main ek KHwab hun tabir karne wala kaun

likhi hui hai jo dil ki zaban mein dhaDkan par
main is kitab ko tahrir karne wala kaun

abhi to qaid se nikla hun un nigahon ki
main phir KHayal ko zanjir karne wala kaun

main apne-ap ko jitun yahi munasib hai
main mumkinat ko tasKHir karne wala kaun

mujhe aziz hai din ki masafaton ka shuur
main ek raat ki tamir karne wala kaun

mere wajud ke sahra ka kab taqaza hai
main apni pyas ko taswir karne wala kaun

jahan lahu ki samaat ho sang-e-KHamoshi
main is maqam pe taqrir karne wala kaun


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+