Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Gauhar Hoshiyarpuri

  • Ghazal


yahan kaun is ke siwa rah gaya


yahāñ kaun is ke sivā rah gayā
zamāna gayā aa.ina rah gayā

vo husn-e-sarāpā vo husn-āfrīñ
magar har koī dekhtā rah gayā

chalo kyā huā raushnī hī to thī
yahāñ dekhne ko bhī kyā rah gayā

hamārī kuchh apnī rivāyat bhī thī
kitāboñ meñ likkhā huā rah gayā

ḳhudā.ī ko bhī ham na ḳhush rakh sake
ḳhudā bhī ḳhafā kā ḳhafā rah gayā

muqaddar kahīñ kaj-kulāhī kare
koī ghar meñ mahv-e-duā rah gayā

kahīñ ek chup bhī rasā ho ga.ī
koī boltā boltā rah gayā

yahan kaun is ke siwa rah gaya
zamana gaya aaina rah gaya

wo husn-e-sarapa wo husn-afrin
magar har koi dekhta rah gaya

chalo kya hua raushni hi to thi
yahan dekhne ko bhi kya rah gaya

hamari kuchh apni riwayat bhi thi
kitabon mein likkha hua rah gaya

KHudai ko bhi hum na KHush rakh sake
KHuda bhi KHafa ka KHafa rah gaya

muqaddar kahin kaj-kulahi kare
koi ghar mein mahw-e-dua rah gaya

kahin ek chup bhi rasa ho gai
koi bolta bolta rah gaya


Leave a comment

+